Thursday 12 December 2013

-.  Lagta nahi hai jee mera ujde diyaar me. Kiski bani hai aalam-e-napaayedaar me.. Chaar din maang ke laye the umar-e-daraaz se.. Do aarzoo me kat gaye, do intezaar me :')

-. Aie Naadan Duniya main mat dhund tu naam e wafa ! Dil se khelte hai log, humsafar banake apna! :')

-.Ek wo the jo.khushi ki talaash me mar jate the.. Ek hum hain jo gham-e-zindagi me jiye jaa rahe hain !

-.Tu wo zaalim hai Jo Dil main reh kar bhi mera na ban Saka “Ghalib”
Aur Dil wo kafir Jo mujh main reh kr bhi tera hogaya… :')

-.Unke dekhne se jo aa jati hai muh par raunaq.. Wo smjhti hain ke beemar ka haal accha hai !

-.Isi dhun mein guzarey jaa rha hun zindagi apni, ke kabhi toh is zindagi ke marhaley aasan toh honge. 

-.Ke koi khaamosh itna hai, bahane bhool aaya hun, kisi ek tarannum mein tarane bhul aaya hun, meri ab raah naa takna ae aasmaan walo, main kisi chidhiya ki aankho mein udaanein bhul aaya hun. :')

-.Ke bahot toota, bahot bikhraa.. Thapede seh nhi paya.. Hawaao ke ishaaro me magar mai beh nhi paya.. Adhoora ansuna hi reh gya kissa mohabbat ka.. Kabhi wo sun nhi paayi, kabhi mai keh nhi paya ! :')

-.Khulti zulfo ne seekhayi mausamo ko shayari, zhukti aankho ne btaya mehkashi kya cheez hai! 
Ishq kijiye fir smjhie zindagi kyaa cheez hai!

-.Raah e mohbbat mein hai kon kisika rafiq, saath mein rehjaati hai bas meri ek aarzoo. :')

-.Maloom hai mujhe ki mere Sapne jhoote hai, aur yeh khushiyan bhi abhi adhoori hai, magar zindagi ko jeene ke lie galat-femiyan bhi zaroori hai ! :') 

-.Khwaishon ka qafila bhi ajeeb hi hai e ghalib aksar wahin se guzarta hai jaha raasta naaii hota! :')

No comments:

Post a Comment